Learn Quran With Qari Sufiyan

Assalamu Alaikum!
Pyare bhaiyon aur behno,
hum aapka hamare channel "Learn Quran With Qari Sufiyan" par dil se isteqbal karte hain.

Is channel ko banane ka hamara maqsad yeh hai ke bahut se Musalman aise hain jinhone bachpan mein Quran to padha tha, lekin sahi tareeke se padhna ab tak nahi seekh paaye. Saath hi, unke paas kahin jaakar seekhne ka waqt bhi nahi hai.

Isliye, is channel ke zariye hum Quran ki taleem har Musalman tak aasani se pahuchana chahte hain.
Humein umeed hai ke aap is nek maqsad mein hamara saath denge.

Allah hamari is koshish ko sabke liye faydemand banaye. Aameen.