Anirveda music company

Aapka Anirveda music company Station par swagat hain..
Main asha karta hu ke apko nirash na karu..
apko is train par har station par rok kar ghumau ..

Agar apko kisi se pyar ho jaaye to main apko pyar bhare nagme sunao waha le chalu

Agar apka Taza taza dill tuta hain to main aapko apni sahi jagha par le ja kar rokne ki koshish karunga

Agar apko motivation leni hain to bhi main kahi rok sakta hu bus aap rokne ke liye bolna mujhe....

Agar aap insub se haar kar thakk kar Bhagwan ke ghar jaana chahe to bhagti station par jub marji stop laga sakte hain....

🙏 Namaskar main apko yaha har cheej dunga siwaaye shor sharaabe ke siwaye kisi ko gaane ke sahare kisi par tanj kasane ke siwaye goli bumb baarud ke inke ilawa apko harr cheej milegi....


Agar aap koi or Station par jaana chahte hain or uska yaha stop nahi hain to us station ke baare mein aap comment ke jariye bataaye ....
Hum puri koshish karenge apko waha le kar jaane ki



Aapka din shubh jaaye Harroj 🙏