Bibi Fatima Manqabat 2025-2026 | Rasool E Akram Ki Jaan Hai Zahra | Syed Meesam Ali Mehdi Manqabat
Автор: Syed Meesam Ali Mehdi
Загружено: 2025-12-09
Просмотров: 307
Manqabat Bibi Fatima | Bibi Fatima Manqabat 2026 | Rasool E Akram Ki Jaan Hai Zahra | Syed Meesam Ali Mehdi New Manqabat 2025 | Qasida Bibi Fatima Zahra 2026 | New Qasida 2025 | 20 Jamadi ul Sani Manqabat 2026 | 20 Jamadi ul Sani Wiladat Bibi Fatima Zahra (sa)
#BibiFatimaManqabat2026 #SyedMeesamAliMehdi #Manqabat2025 #Manqabat2026 #ManqabatBibiFatimaZehra #BibiFatimaManqabat #NewManqabat2025 #YaZahra #Qasida #bibifatima #hazratfatima #bibifatimaqasida #manqabat
Experience the soulful and heart-touching Bibi Fatima Manqabat 2025-2026, titled “Rasool E Akram Ki Jaan Hai Zahra (sa)”, beautifully recited by Syed Meesam Ali Mehdi. This new manqabat is a heartfelt tribute to Syeda Fatima Zahra (sa) on the blessed occasion of 20 Jamadi ul Sani Wiladat Bibi Fatima Zahra (sa).
This New Manqabat 2025-2026 blends emotional poetry, spiritual depth, and powerful vocals, capturing the love, respect, and devotion for Bibi Fatima Zahra (sa)—the beloved daughter of Rasool Allah (saw). A must-listen for all lovers of Ahlulbayt (as).
© 2025 Syed Meesam Ali Mehdi - All rights reserved.
➽ Subscribe ➽ / @syedmeesamalimehdi 🔔 Stay updated!
►Manqabat Video Credits :-
►Manqabat Title: Rasool E Akram ki Jaan hai Zahra (SA)
►Poetry, Composition & Recited by | Syed Meesam Ali Mehdi
►Introductory Poetry: Khuda e Sukhan Hazrat Mir Babbar Ali Anees (r.a)
►Vocals Recorded by: MVS Studios
►Audio Mixed & Mastered by: Mesum Zaidi (LAWA)
►Edit: JQ Productions (Junaid Qureshi)
►Creatives: SKM - Kazim Mehdi
►Digital Partner: RhythmReach
►SEO: Syed Zaki Raza (India)
►Special Thanks: Ustad Akbar Abbas
►Related: Bibi Fatima Manqabat 2026
►Category: Manqabat / Manqabat 2026 / Islamic Manqabat
Social Media Links:
Facebook: / meesammehdi110
Instagram: / meesammehdi
𝗟𝘆𝗿𝗶𝗰𝘀
Kaaghaz Pe Pehle Surah-e-Maryam Ko Dam Karoon,
Tab Fatima Ki Izzat O Iffat Raqam Karoon
(Mir Babbar Ali Anees)
Ali Ki Zouja, Hussain Ki Maa, Rasool-e-Akram Ki Jaan Hai Zahra,
Woh Jin Ke Sadqe Jahaan Hai Saara, Unhi Ka Saara Jahaan Hai Zahra.
Adab Se Jis Ki Janaab Mein Sar Payambaron Ke Jhuke Huye Hain,
Maqaam Jis Ka Hai Itna Aala Ke Khud Ali Bhi Kharay Huye Hain.
Woh Teri Taazeem Mein Khara Hai Ke Tu Muhammad Ki Maa Hai Zahra.
Hijab-e-Rab-e-Ula Ki Khaatir Nibhaaya Yun Farz-e-Kirdagaatari,
Rakhee Hai Qur’aan Mein Bhi Rab Ne Kuch Is Tarah Teri Parda-daari.
Hijab-e-Aayaat-e-Mus’haf-e-Haq Mein Jaa-ba-Jaa Tu Nihaan Hai Zahra.
Kaheen Pe Kausar, Kaheen Shab-e-Qadr, Jis Ka Idraak Ghair Mumkin,
Khuda Ne Goya Humein Bataaya Adhoora Qur’aan Hai Tere Bin.
Sanwar Rahi Hai Teri Sana Se Jo Aayaton Ki Zabaan Hai Zahra.
Yeh Chaand Taare, Yeh Kehkashaanein Hain Teri Khaatir, Tu Fatima Hai,
Ajeeb Tauheed Se Hai Rishta, Khuda Hai Faatir, Tu Fatima Hai.
So Raaz Yeh Khul Gaya Hai Sab Par Haqeeqat-e-Kun-Fakaan Hai Zahra.
Ho Kyun Na Bartar, Ho Kyun Na Aala, Ghilaaf-e-Kaaba Se Us Ka Rutba,
Woh Teri Chaadar Hai Jo Ke Thehri Hai Kul-e-Imaan Ka Musalla.
Wohi Rasool-e-Amaan Ki Khaatir Kisa Ki Soorat Amaan Hai Zahra.
Woh Tera Shabbir Hai Ke Jis Se Wujood-e-Deen-e-Khuda Hai Baaqi,
Woh Teri Zainab Hai Jis Ke Dam Se Jahaan Mein Karb O Bala Hai Baaqi.
Woh Tera Qaaim Hai Jis Se Qaaim Nizaam-e-Kon-o-Makaan Hai Zahra.
Baroz-e-Mehshar Tere Pidar Ko Woh Kis Tarah Moo Dikha Sakenge?
Unhi Ki Khaatir Kaha Nabi Ne Woh Bu-e-Jannat Na Paa Sakenge.
Tere Adu Par Tabarra Jin Ki Tabiyaton Par Garaaan Hai Zahra.
Tu Raaziya Hai, Tu Marziya Hai, Har Aik Shay Par Tu Haakima Hai,
Libaas-e-Jannat Ka Pal Mein Meesam Zameen Pe Aana Bata Gaya Hai.
Mashiyat-e-Kibriya Bhi Meesam Faqat Teri Haan Mein Haan Hai Zahra.
علی کی زوجہ حُسین کی ماں رسولِ اکرم کی جاں ہے زہرا
وہ جن کے صدقے جہاں ہے سارا اُنہی کا سارا جہاں ہے زہرا
ادب سے جس کی جناب میں سر پیمبروں کے جھکے ہوئے ہیں
مقام جس کا ہے اِتنا اعلیٰ کہ خود علی بھی کھڑے ہوئے ہیں
وہ تیری تعظیم میں کھڑا ہے کہ تُو محمد کی ماں ہے زہرا
حجابِ ربِ عُلا کی خاطر نبھایا یوں فرضِ کردگاری
رکھی ہے قرآن میں بھی رب نے کچھ اِس طرح تیری پردہ داری
حجابِ آیاتِ مصحفِ حق میں جا بجا تُو نہاں ہے زہرا
کہیں پہ کوثر کہیں شبِ قدر جس کا ادراک غیر ممکن
خدا نے گویا ہمیں بتایا ادھورا قرآن ہے تِرے بِن
سنور رہی ہے تِری ثنا سے جو آیتوں کی زباں ہے زہرا
یہ چاند تارے یہ کہکشانیں ہیں تیری خاطر تُو فاطمہ ہے
عجیب توحید سے ہے رشتہ خدا ہے فاطر تُو فاطمہ ہے
سو راز یہ کھُل گیا ہے سب پر حقیقتِ کُن فکاں ہے زہرا
ہو کیوں نہ برتر ہو کیوں نہ اعلیٰ غلافِ کعبہ سے اُس کا رتبہ
وہ تیری چادر ہے جو کہ ٹھہری ہے کُلِ ایمان کا مُصلیٰ
وہی رسولِ اماں کی خاطر کِسا کی صورت اماں ہے زہرا
وہ تیرا شبیر ہے کہ جس سے وجودِ دینِ خدا ہے باقی
وہ تیری زینب ہے جس کے دم سے جہاں میں کرب و بلا ہے باقی
وہ تیرا قائم ہے جس سے قائم نظامِ کون و مکاں ہے زہرا
بروزِ محشر تِرے پدر کو وہ کس طرح مُنہ دِکھا سکیں گے
اُنہی کی خاطر کہا نبی نے وہ بوئے جنت نہ پا سکیں گے
تِرے عدو پر تبرا جن کی طبیعتوں پر گراں ہے زہرا
تُو راضیہ ہے تُو مرضیہ ہے ہر ایک شے پر تُو حاکمہ ہے
لباسِ جنت کا پَل میں فرشِ زمیں پہ آنا بتا گیا ہے
مشیتِ کبریا بھی میثمؔ فقط تِری ہاں میں ہاں ہے زہرا
(سید میثمؔ علی مہدی)
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: