Samri Stree: “जिसे सबने छोड़ा… उसे यीशु ने चुना” | सामरी स्त्री की कहानी
Автор: Siyon Grace Gospel
Загружено: 2025-11-13
Просмотров: 240
A special thanks to YESHU PAPA 🙏
Unki kripa aur unke aashirwad se hi yeh video hum aap tak pahuncha paye.
Aur sry siyon ke yatriyon for posting this late — par har kaam Yeshu ke samay par hi hota hai. sari mahima prabhu ko mile ❤️
---
🌹Story Summary – Samri Stri (The Samaritan Woman)🌹
Yeh kahani ek aisi aurat ki hai jise duniya ne thukra diya tha…
Par Yeshu ne usse pehchana, samjha, aur usse जीवित जल (Living Water) diya —
woh anugrah jo zindagi ko andar se badal deta hai.
Samri Stri ka Yeshu se mulaqat Jakob ke kuen par hota hai.
Jahan Yeshu usse uski poori zindagi bata dete hain — bina usse judge kiye.
Us din, woh toot chuki aurat ek gavaahi dene wali mahila ban jaati hai.
Usne apne poore sheher ko Yeshu ke baare mein bataya!
---
🌹Biblical Reference 🌹
Yeh poori kahani Bible mein Yohanna (John) 4:1–42 mein likhi hui hai.
Aap is chapter ko padhkar is ghatna ko aur gehraai se samajh sakte hain.
---
🌹 From the Character’s Perspective🌹
Is video mein hum Samri Stri ki kahani uski nazar se (from her POV) dekhte hain—
uska dard, uski sharam, uska akelapan,
aur woh pal jab Yeshu ne use chhodne ke bajaye chun liya.
---
🌹 Thank You for Watching🌹
Agar yeh kahani aapke dil ko chhoo gayi ho,
to like, share aur subscribe zaroor karein ❤️
Aur Yeshu Papa ke anugrah mein bane rahein 🙏
---
#SamaritanWoman #SamriStri #JesusStory #YeshuPapa #LivingWater #BibleStory #ChristianIndia #FaithJourney #BibleTeaching #John4 #ChristianVideo #WomenInTheBible #HopeInJesus #ChristiansOfIndia #FaithInGod #GospelMessage #JesusSaves #Christlike #BibleTruth #SpiritualJourney
Written by - Nancy Singh ( Siyon Grace )
Audio delivered by - Nancy Singh ( Siyon Grace )
Video edited by - Prarthana Singh ( Ruth Grace )
Special thanks to - Jesus Christ ( YESHU PAPA)
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: