KAAL CHAKRA || OFFICIAL VIDEO || NASHWAR || SPIRITUAL RAP
Автор: Nashwar
Загружено: 2021-02-12
Просмотров: 24843
Okay, so finally here's my dream. The dream I wrote in 2016. I have put my heart & soul in this & I just wish that you show your love & support to this as you always do to my work. Here's my debut rap song, Kaal Chakra.
And yes, Main Nashwar Hoon.
Stream the music -
https://distrokid.com/hyperfollow/nas...
Lyrics -
Ruke kadam, chale kalam,
Satya khada ho, jhuke bharam
Ajar amar rahe aatma,
prakriti ka yahi niyam
Ang nagan, ghaav naram,
Praan vaayu ko kare jatan,
Tab karni thi ab bharni hai,
Paap punya hi tera karam,
Irshya mein jalte hain, dwesh mein palte hain,
Chehra koi na dekhe na, mukhaute badalte hain,
Kal ke ye bolein kya, halke inhe tolein kya,
Khokhla gyaan inka muh apne kholein kya,
Girte hain, padte hain, fir jo sambhalte hain,
Aankhon mein jazba, na dard kabhi jhalke hai,
Janm liya ho sarvasv jeetne ko,
Karke naman unke peechey sab chalte hain
Kalchakra...ka pahiya yoon hi chalta jayega
Vidhi ke vidhaan ko tu taal nahi payega
Kalchakra...ka pahiya yoon hi chalta jayega
Niyati mein jo likha hai, wohi to tu payega - 2
Tu samay ki ghadiyan ginta ja,
Ladkar mar ja ya zinda ja,
Jeevan amulya hai, tu sirf shoonya hai,
Sahi jagah ho, fir bahumoolya hai
Ekmaatra bus yahi prashn hai,
Dugdh-shwet ya varn krishn hai,
Rakt-ranjit deh liye wo,
Baan-shaiyya pe pada Bhishm hai
Manavta ka saadhak hoon,
Main aatmakatha ka vaachak hoon,
Na moh koi ya maaya boyi,
Sada yathawat yaachak hoon
Kyun vyarth hi rakhta rahe aham,
Kyun vyarth kare jo liya janam,
Tu kya khoye tu kya paaye
Ek din hoga sab khaak-bhasam
Nashwar tera ye dambh,
Aur jaal kapat ka bhang,
Moh maaya ko tyaag re maanush,
Kya le jayega sang
Kshanbhar ka na pratibandh,
Tu jal-pravaah prachand,
Aatma-bodh se vanchit,
Tujh mein hai brahmaand anant
Tu badle kya itihaas,
Kar aaj mein hi vishwaas,
Praan se badhkar pran ho tera,
Kar bus yehi prayaas
Pal pal ghat ti har shvaas,
Tu kar le ye aabhas,
Jeevan-maran ka bhed khule,
Jab kaal aaye anayaas...
Kalchakra...ka pahiya yoon hi chalta jayega
Vidhi ke vidhaan ko tu taal nahi payega
Kalchakra...ka pahiya yoon hi chalta jayega
Niyati mein jo likha hai, wohi to tu payega - 2
Credits -
Written & Performed By - Nashwar
/ officialrjgaurav
/ igauravbhatt
Directed By - Manil Kandwal
/ manil.mk
Cinematographer - Ashish Bahuguna
/ ashish._.bahuguna
Editor - Harsh Kandpal
/ harsh_kandpal_hk
Drone Operator - Kaushal Shah
/ ksfilmsofficial
Music - Semmi On The Beat
/ semmibeatz
#kaalchakra #nashwar #spiritualrap #hindirap #hindirapper #desihiphop
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: