Dushman agar ghar se guzre to war na karo | Jatt qaum ki bahaduri aur apas ki dushmani
Автор: Adil JaTT
Загружено: 2026-01-16
Просмотров: 50
Is video mein Rana Naseer sb ne Jatt qaum ki tareekh, bahaduri aur un ke kirdar par boht hi dilchasp guftagu ki hai. Unho ne bataya ke Jatt ek mukammal aur daler qaum hai, lekin afsos ke sath ye bhi zikr kiya ke Jatt hi aksar Jatt ka sab se bara dushman ban jata hai. Rana Naseer sb ne Jatt qaum ki apas ki dushmani aur un ke samajik rawayon par gehri roshni dali hai.
Is ke sath hi unho ne mazaqiya aur sabaq amoz andaz mein bure jawai aur dushman ke sath mardana rawaye par bhi baat ki. Un ka kehna hai ke agar dushman mard ho aur aap ke ghar ki chhat se guzre to us par war nahi karna chahiye, kyunke mard ki dushmani bhi ek miyar rakhti hai. Rana Naseer sb ne boht hi piyari misal di ke kaise ek maa apne bete ki tarbiyat kar ke usay bahadur banati hai. Ye podcast Jatt culture aur mardana kirdar ko samajhne ke liye boht ahem hai.
#AdilJatt #AdilJattPodcast #PakistaniPodcast #UrduPodcast #RanaNaseer #JattQaum #JattCulture #PunjabiHistory #Wisdom #SocialIssues
Our Mission Promote Positive Picture Of Pakistan
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: