Riding Se Seedha Jumma 🕌 | Ghoray Par Hi Nikalna Para | Faisal Lali Vlogs
Автор: Faisal Lali Vlogs
Загружено: 2025-12-07
Просмотров: 997
Aaj ke vlog ka scene hi mukhtalif tha. Subha se hum gaon hi thay aur riding ka plan bana hua tha kyunki sunday ko mela hai aur uski proper tayyari chal rahi hai. Dera pohanchay to Awais bhai wahan mojood thay, jo hamari Crown car dekhne aaye thay. Battery dead thi aur bonnet bhi open nahi ho raha tha, to unhon ne doosri Crown ki battery attach karki charge diya. Kuch dair me gaari start ho gayi aur hum ne riding ke liye nikalna tha.
Malik saab, Ikhlaas bhai, Muzamil aur main sab ne milkar ground me riding ki aur do pattiyan bhi bhagaye. Bas aik dum waqt check kiya to pata chala ke Jumma ka time ho chuka hai. Main aur Waqas foran ghoray par hi masjid ki taraf nikle — bilkul film jaisa scene lag raha tha. Masjid pohanch kar ghora roka aur shukar hai ke jamaat mil gayi.
Jumma ki namaz ke baad hum wapas dera aa gaye. Aaj ka vlog simple tha lekin riding, dosti aur aik choti si roshni bhari story ke sath.
🔗 SOCIAL LINKS
TikTok: https://www.tiktok.com/@faisallali212...
Facebook: / 1hudvdq2gg
Instagram: https://www.instagram.com/faisallaliv...
#faisallalivlog #horseriding #jumma #villagevlog #punjabvibes
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: