Krishna Aur Kans | Raanjha | Smokey | Krishna Bhajan | Hindi Song | Hindi Rap Song
Загружено: 2025-11-23
Просмотров: 189805
कृष्ण और कंस एक अनोखा भजन-स्टाइल रैप ट्रैक है, जिसमें रांझा और स्मोकी ने मिलकर भगवान कृष्ण की कथा को नए अंदाज़ में पेश किया है। भक्ति और रैप का यह संगम सुनने वालों को एक अलग ही अनुभव देता है। कृष्ण भजन और हिंदी रैप का यह मेल आपके मन को जरूर छू जाएगा।
ईश्वर के ऐसे अनेक मधुर प्यारे भजन, मंत्र आरतियां सुनने के लिए सब्सक्राइब करें : / saregamabhakti
Audio Credits
Primary Artists - Raanjha | Smokey
Performers - Raanjha | Smokey
Lyrics - Yogesh Kumar Sharma
Composer - Yogesh Kumar Sharma | Ankit Mishra
Producer - Smokey
Mix & Master - Aditya Badoliya
Dubbing Artist - Vinod Kumar Joshi
Lyrics:-
Jab paap badha hone lagi dharm ki haani
Har disha me thi goonjti kans ki vaani
Jaha dikhte hawan dedo bali santo ki
Kalyug si lage dwapar ki kahani
Tabhi garji daamini or Goonja aasmaan
Teri mrityu ban aayega devki santaan
Aathva jo hoga wahi hoga kaal tera paapi
Svayam hari hi aayenge harne tere ye praan
Sun devki ko karagrah me daale Matibhang
Soch kaal ka krunga apne haatho se hi ant
Ek ek krke dedi bali 6 shishuon ki
Par ye ant nahi tha ye naye yug ka prarambh
Aaye saatvi santaan ban swayam sheshnag
Kiya garbh dharan Rohini ka maya ka prataap
Dharm sthapana me sahyog dene ko prabhu ka
Karne swagat wo hari ka liya pehle avtaar
Sansaar kre vinti ab na naath kro deri
Balram khade swagat ko ab aas hai tumhari
Seh sehke kasht sukhe jin aankho ke bhi aansu
Un kashton ko harne aane wale hai girdhari
Krishna paksha ashtami haa rohini nakshatra
Madhya raatri ko prabhu avtaar leke aaye
Esa tez divya leke kaanha mukh pe padhare
Haath jode ful devta bhi swarg se barsaye
Jinke pero ke tale ye brahmnand bhi pale
Or saara Kaal ka bhi chakra jinke naam se chale
Haa Janam liya kaaragrah me teeno lok ke swami ne
Karne dharm ki sthapana wo leela ye rache
Haa toot gaye taale khule dwaar kaaragrah ke
Or Kans ke prahari maaya se saath so gaye saare
Leke chhote se kaanha ko vasudev rakh sir par
Nikle pahunchane gokul nand ke dwaare
Yamuna ji me ubaal barse megh ghamsaan
Maata yamuna bhi krti prabhu ko pranaam
Fir sulake krishna ko maa yashoda ke sameep
Laaye putri unki Jisme swayam maya ka tha vaas
Aaya kans ithlata karne vadhh apne kaal ka
Haatho se chutti jo maaya chala na koi zor
Boli Tu kya mujhe maargea re Matibhang paapi
Tera kaal to janam le chuka hai kahi or
Dekh kaal ka janam vyakul hua man
Baukhalaya wo asur tha achambhit kans
Par itni saralta se maane kese haar
Bheje mayavi daitya karne kaanha ka wo ant
Gayi putna pilane vish chaal le chapal
Soch baalak ye saadharn hogi chaal ye safal
Par vish pike pi gaye wo praan putna ke
Deke mukti krdi yukti sari kans ki Vifal
Bheje Aghasur Bakasur Keshi Trinavrt Shaktasur
Or Vyomasur Vatsasur kai daitya mayavi
Ek ek krke varsho kiya hatya ka prayas
Aaye kai par wapas laut ek bhi paaya nahi
Hua kans bhay bheet, dekh Krishna jeet
Dharti pe traahimam aakash me thi cheekh
Kahi dhad se alag sir kahi haath per
Jitne aaye asur mrityu pa mitti me vileen
Ek aakhiri dwand hai shesh kans ke sang
Puri srishti ko prateeksha ab honi thi wo jung
Leke vida aaaye mathura daau ke sang kaanha
Diya aane ka sandesha shiv dhanush kr bhang
Hua pagal paapi chali apni aakhiri chaal
Karke shakti pe guroor di mall yudhh ki lalkar
Karke antim iccha puri laaye ghaseet ke maidaan me
Rakh chaati pe per kiye prahaar pe prahaar
Ant tere atyacharon ka tu aaj hota dekh
Teri aankho ke samaksh karmo ka pada lekh
Bhaag bhaag bhaag bhaag apni mrityu se bhaag
Teri saanse meri marzi se reh rahi hai shehsh
Ye prahaar meri maa ke sukhe aasuno ke liye
Ye prahar unko karagrah me daalne ke liye
Na saralta se tujhe itni mrityu milegi
Ye prahar mere 6 nirdosh bhaiyon ke liye
Ye prahar un jalte huye saadhuo ke liye
Ye prahar mere kul ke saare yaadavo ke liye
Tere ek ek paap ka aaj hona hai hisaab
Ye gokul mathura ke gau paalko ke liye
Faadi chaati toda kannns ka saara abhimaan
Mara pada jise shakti pe tha bada gumaan
Chaaro or goonje krishna ki vijay ka hi shor
Teeno loko me hi ho raha prabhu ka gun gaan
#krishnaaurkans
#raanjha
#smokey
#saregamabhakti
#krishnabhajans
#hindisongs
#krishnasong
#rapsong
सुर में गाना सीखने के लिए AI Powered Padhanisa App डाउनलोड करें, https://sarega.ma/padhanisa
Tune in to all your favorite Bhakti songs and mantras on the Saregama Bhakti App.
Download now: https://sarega.ma/bhakti_yt
Saregama is India’s oldest music label with a rich collection of devotional songs, bhajans, aartis, and puja vidhis. Saregama Bhakti brings you soulful devotional content by legendary artists like Lata Mangeshkar, Jagjit Singh, Anup Jalota, Hari Om Sharan, and many more. From bhajans to pooja vidhis, Gurbani to Sai Bhakti — everything is available in one place to enhance your spiritual experience.
Label:: Saregama India Limited, A RPSG Group Company
Subscribe to
/ saregamabhakti
For more updates Follow us on Facebook:
/ saregama
Visit our website: http://www.saregama.com
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: