Andesha (اندیشہ) | Kafeel Aazar Amrohvi (کفیل آزر امروہوی) | Waqar Ahsan (وقار احسن)
Автор: Dareecha
Загружено: 2022-12-18
Просмотров: 61
Andesha (اندیشہ) | Kafeel Aazar Amrohvi (کفیل آزر امروہوی) | Waqar Ahsan (وقار احسن)
baat niklegī to phir duur talak jā.egī
log be-vaj.h udāsī kā sabab pūchheñge
ye bhī pūchheñge ki tum itnī pareshāñ kyuuñ ho
jagmagāte hue lamhoñ se gurezāñ kyuuñ ho
uñgliyāñ uTTheñgī sūkhe hue bāloñ kī taraf
ik nazar dekheñge guzre hue sāloñ kī taraf
chūḌiyoñ par bhī ka.ī tanz kiye jā.eñge
kāñpte hāthoñ pe bhī fiqre kase jā.eñge
phir kaheñge ki hañsī meñ bhī ḳhafā hotī haiñ
ab to 'rūhī' kī namāzeñ bhī qazā hotī haiñ
log zālim haiñ har ik baat kā ta.ana deñge
bātoñ bātoñ meñ mirā zikr bhī le ā.eñge
in kī bātoñ kā zarā sā bhī asar mat lenā
varna chehre ke ta.assur se samajh jā.eñge
chāhe kuchh bhī ho savālāt na karnā un se
mere baare meñ koī baat na karnā un se
baat niklegī to phir duur talak jā.egī
بات نکلے گی تو پھر دور تلک جائے گی
لوگ بے وجہ اداسی کا سبب پوچھیں گے
یہ بھی پوچھیں گے کہ تم اتنی پریشاں کیوں ہو
جگمگاتے ہوئے لمحوں سے گریزاں کیوں ہو
انگلیاں اٹھیں گی سوکھے ہوئے بالوں کی طرف
اک نظر دیکھیں گے گزرے ہوئے سالوں کی طرف
چوڑیوں پر بھی کئی طنز کیے جائیں گے
کانپتے ہاتھوں پہ بھی فقرے کسے جائیں گے
پھر کہیں گے کہ ہنسی میں بھی خفا ہوتی ہیں
اب تو روحیؔ کی نمازیں بھی قضا ہوتی ہیں
لوگ ظالم ہیں ہر اک بات کا طعنہ دیں گے
باتوں باتوں میں مرا ذکر بھی لے آئیں گے
ان کی باتوں کا ذرا سا بھی اثر مت لینا
ورنہ چہرے کے تأثر سے سمجھ جائیں گے
چاہے کچھ بھی ہو سوالات نہ کرنا ان سے
میرے بارے میں کوئی بات نہ کرنا ان سے
بات نکلے گی تو پھر دور تلک جائے گی
Urdu Poetry | Urdu Poetry Sad | Urdu Poetry Romantic | Urdu Shayari | Urdu Shayari Sad | Urdu Shayari Love | Urdu Shayari Romantic | Urdu Shayri | Urdu Shayri Sad | Urdu Shayri Love | Urdu Shayri Romantic | Urdu Adab | Urdu Poetry Reading | kafeel aazar amrohvi | kafeel aazar | baat niklegi toh phir door talak jayegi | baat niklegi | baat niklegi to phir door talak jayegi | بات نکلے گی تو دور تلک جائے گی | best urdu poetry collection | sad urdu poetry |
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: