Bade Tariya Kumhari | Park in Kumhari | Chhattisgarh
Автор: Akash Ka Safar
Загружено: 2023-07-22
Просмотров: 373
📍Bade Tariya Kumhari, Chhattisgarh
Bade Tariya waise to 2 bje se open ho jata hai but aap sham ko jaaye to aapko iska best experience milega..
Night around 9.30 ke baad entry tickets milni band ho jati hai aur ye park 10 bje tak close ho jata hai..
Mera personal Experience raha, agar jada crowd mei nahi fasna hai aapko to two wheeler se jaaye yaa phir car thodi dur park karke by walk jaaye..
Entry fee - 20 /- per person
Toy Train Fare - 30/- per person
Haan yaha par Public Toilest ka bhi charge rakha gaya hai 5/- aur jab maine iss bare mei pata kiya to waha ke management walo ka kehna tha ki pehle ye free tha par kuch log ise damage kar rahe the aur gandagi karne lage to isliye iss par charges lagna start ho Gaya..
Meri ek request hai aap Sabhi se ki aise shaandar si property ko ganda naa kare aur management ki help kare..
Jo musical fountain show hota hai uske koi charges nahi hai wo entry tickets me hi include hai..
Yaha Millet Cafe hai..
Aaiye jante hai millet hota kya hai,
Mote anaaj wali fasle jaise - ज्वार, बाजरा, रागी, सावां, कंगनी, चीना, कोदो, कुटकी और कुट्टू ko millet crop kehte hai. Millets Ko super food, Kaha Jata hai, Kyuki isme nutrients kaafi jyada amount me hote hai.. Indian Institute of Millets Research ke hisab se Ragi yaani Finger millet me Calcium ki quantity achi hoti hai.. Ragi me iron ka amount Rice aur wheat se jyada hota hai..
Iss cafe me women groups work karti hai jisse
women self-employment and entrepreneurship ko badhawa mile..
To aap bhi Millets se bane healthy aur tasty food try jarur kare aur comment mei bataiyega ki kaisa laga ..
Saath hi Bade tariya ko explore karne ke baad mujhe iska experience jarur share karna..
#akashkasafar #badetariya #parkinkumhari #park #kumhari #chhattisgarh #badetariachhattisgarh #badetariakumhari #badetariya #reels #cgtourism #reelsindia #reelsexplore #badetariyakumahari #infotainment
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: