ऐसी योग मुद्रा जो भयंकर से भयंकर रोग को समाप्त कर देती है । most powerful yog mudra khechri
Автор: Gokul Bisht Hindi
Загружено: 2019-09-15
Просмотров: 56426
Namaste dosto,
Is video maine ek aisi yog mudra ko pradarshit Kiya hai ho sabhi prakaar ke rogo ko samaapt Kar deti hai.
Yoga shastro me khechri mudra Ka ullekh milta hai , jiske abhyaas se vyakti Amar ho jata hai , mritu use chooti tak nhi hai.
Parantu is video me Maine khechri mudra ke saral roop nabho mudra ko pradarshit Kiya hai kyoki khechri Mundra ki Vidhi atyadhik kathin hai aur Sahi prakaar se iska abhyaas Nahi Karne par Hani ho Sakti hai.
Khechri Mudra ke liye Hume apni jeebh ko laba Karna hota hai jiske liye hum chimte ki sahayata se Kar skte hai.
Jeebh ko lamba Karne ke sath sath hum jeebh ko Ulta Karke peeche ki aur dhakelna hota hai , taki wah gale ke Marg se hote hue bhrumadya ke thik peech sparsh Kar sake.
Aise hone par Jab jeebh Ka upri hissa us pschtra par sthit bindo ko pradeept karta hai jisse hamara sharir ke vibhhinn Aung prabhavit hote hai aur hume labh hota hai.
Aise mana jata hai ki is mudra ke abhyaas me , jeebh his pschtra ko sparsh Karti hai wah pschetra bindu chakra Ka pschetra hai aur bindu chakra amrit Ka sraav karta hai , aur tab hamari jeebh dwara us amrit Ka grahan ho jata hai , jisse vayakti ke shareer ki sabhi vyadhiya samaapt ho jati hai.
My amazon shop store products link
https://www.amazon.in/shop/gokulbisht...
You can follow me on:
/ gokulbishthindi
/ gokulbisht5000
/ gokulbisht5000
/ gokulbisht5000
/ gokulbisht5000
For business , inquiries
[email protected]
#khechrimudra
#nabhomudra
#sabhirogokosamaptkardegi
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: