Hai kiska tujhko bata itna intezar sugra | Meraj hallauri rizvi | nauha 2025/1447 | muharram 2025
Автор: Meraj hallauri official
Загружено: 2025-07-05
Просмотров: 18624
⚫ Bismillah ⚫
Nauha title :-- Hai kiska tujhko bata itna intezar sugra | Meraj hallauri rizvi Nauhey 2025/1447
#merajhaiderrizvihallauri #karbala #muharram #yahussain
Kalam title :- hai kiska tujhko bata itna intezar sugra
Composer :- Meraj hallauri
Reciter :- Meraj hallauri
Poet :- janab Arsh hallauri
Corus :- zaigham hadi , , haider Abbas ,Ali Abbas , Waheed rizvi
Audio vocal :- Praveen sadgayama studios ( Sharjah)
Video :- BMZ production
Mixing & mastering :- Rao muttahir ( RWDS)
Special thanx to :- anjuman haidery hallaur
Shahid rizvi ( kaify ) , abid Jamal , ,Asif rizvi
Lable - MHR records
:Nauha lyrics:
Haye sugra --- Haye sugra
Na aas laga, na rakh ummeed koi
Pardes ko jane waley
Na laut k aane waley
Hai kiska tujhko bata itna intezar sugra
Hai kiske wastey dil tera beqarar sugra
Vo Chey maheene ka nanha tera Ali asgar
Qaza ka teer Jo kha kar hai soya reeti par
Usey bhi hona pada deen par nisaar sugra --- hai kiska ....
Watan se door vo guldastae nabhi ujda
Har ek ghuncha Muhammad ka dard me dooba
Kheza ne looti there ghar ki har bahar sugra -- hai kiska ....
Bichaye baithi hai aankhen tu jiski rahon par
Vo tera yousufe sani tera Ali Akbar
Sitam ki barchi hai uske Jigar k paar sugra ---- hai kiska ..
Haye sugra Haye sugra Haye sugra Haye sugra
Vo karbala ki Zameen par bikhar gya har su
Kahin pe jism kahin sar kahin pe hai baazu
Hai laash qasime muztar ki taar taar sugra -- hai kiska ...
Qaza ki goud me Shabbir sone waley hai
Ki Chand lamho me vo qatl hone waley hai
Haram ka ab to muhafiz hai kirdegaar sugra --- hai kiska...
Nigahe dard ke hamraah dil bhi rota hai
Wahan tarai me ek sheer tera sota hai
Kata ke hath wafaon ka tajdaar sugra --- hai kiska ...
Sabhaley Laila ko kulsoom ya sakeena ko
Bachaye sholon se Sajjad mere maula ko
Hai ek zainabe Dilgeer gham hazar sugra --- hai kiska ....
Qaza ki qaid se chutkar vo aa nhi Sakta
Ki wada gesuon wala nibha nhi Sakta
Vo jiske wadey pe tujhko tha etbaar sugra --- hai kiska ...
Namaze shab Jo vo padhti thi arsh aur Meraj
Khala me shoor vo sunti thi arsh aur Meraj
Ke jaisa kahta ho koi ye baar baar sugra..
Hai kiska tujhko bata itna intezar sugra ....
Haye sugra --------------------------Haye sugra
(composed and recited by Meraj hallauri)
#karbala #muharram #imamhussain #azadarinetwork #anjumanhaideryhallaur #yahussain #syedmerajhaiderrizvihallauri
copyright 🚫
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: