Kharad fuganaa wali kanthi Mata|Shamli, Uttar Pradesh
Автор: Rathor Family
Загружено: 2023-06-06
Просмотров: 7524
Kharad fuganaa wali kanthi Mata| Shamli, Uttar pradesh
Kanthi Mata:Maa k darshan Sai milti hai rogo Sai mukti
Kanti Mata mandir shehar k bicho bich mein h .Delhi Sai bhosali roadways Tak pahuchkar rickshaw ,bus ya City bus dwara bacha park Tak jakr kanthi Mata k mandir Tak pahucha ja sakta hai .Delhi Sai mandir Tak ki duri 66km hai .Sheher mai mandir Tak pahuchne k liye pariwahan seva uplabad hai .
Mandir ki vishesta yeh hai ki mandir Mai lagi alag2 Mata ki murti alag2 rogo ka nivanran karti h.
Kanthi Mata k samne log gala sambhandi samasya Sai niwaran pane k liye aate hai.mahilaye yha apne bacho k ujjwal bhavishya ki kamna karne hetu aati hai
Mandir k pujari Dinesh notiyal k anusar yeh mandir ek prachin sidh peeth hai.unka khna hai ki mandir kareeb 200 saal purana h.Yaha sache man Sai mangi gyi मुराद jarur Puri hoti hai.
Pichle 50 saalo Mai mandir ki prasidhta dur2 Tak fali h.
Yha kanthi Mata,sheetla Mata,handiya Mata ,Lalita Mata, fulmati Mata ,duragaa Mata ,shahkumbri devi khulko khasi Mata aur kho2 Mata ki murti hai .manyata yeh h ki yha sthapit alag2 Mata alag2 rog thk krne ka ashirwad deti hai
Yha chunri aur Prasad k sath Pooja krne pr maa ka ashirwad milta hai isliye yha dur2 Sai log maa ka ashirwad lene aur bimariyo Sai niwaran k liye aate hai.
Yha pr Kali Mata ko prasad k rup mai alcohol chadya jata hai
Mata ka Mela 24 ghante chlata rhta hai .Raat ko yha asa ujala hota hai maano subh ho rhi ho har waqt bhakto ki bheed mandir k bahar dekhne ko milti hai.
Is mandir k bare Mai yeh b kha jta hai ki yha pr pandav bhi darshan karne aye the.
.
.
.
.
.
.
.
Thanku for watching this video 📸.
#kanthiMata #shamli #uttarpradesh
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: