Pardaye shauq hai yahi | Kalam | Hazrat Raaz Barelvi | Khanqahi Niazi Qawwali
Автор: Khanqahi Niazi Qawwali
Загружено: 2020-03-18
Просмотров: 11399
Pardaye shauq hai yahi surate raaz hai yahi,
Tum ho nazar ke samne meri namaz hai yehi,
Teri ata ki khubiyan meri talab mein bhi nahi,
Bandagi khud pukar uthi bandanawaz hai yehi,
Jalwao jalwagar yahi shahide har nazar yehi,
Jalwa numa yehi to hai jalwa taraaz hai yehi,
Wasl mein bhi tapa hoon main jalwo mein gum hua hoon main,
Gham mein bhi hans raha hoon main aine gudaaz hai yehi,
Aehle jahaan ko kya khabar kaun hai mujhme jalwagar,
Main hoon kaha tumhi to ho asal mein Raaz hai yehi..
Kalam
Hazrat Raaz Barelvi
Imamus Salekeen Hazrat Shah Muhammad
Taqi Qibla Aziz Mian Sahib Niazi R.A.
Bareilly Shareef
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: