Yaad hai pehle roze kaha tha - Khalil ur Rehman Qamar Poetry
Автор: Charagh Talay
Загружено: 2020-10-06
Просмотров: 268736
Yaad hai pehle roze kaha tha - Khalil ur Rehman Qamar
Yaad hai pehle roze kaha tha
phir na kehna ghalti dil ki
pyar samajh kar karna larki
pyar nibhana hota hai
phir paar lagana hota hai
yaad hai pehle roze kaha tha
sath chalo to pure safar tak
mar jane ki agli khabar tak
samjho yar khuda tak hoga
sara pyar wafa tak hoga
phir yeh bandhan torr na jana
chorr gaye to phir na ana
chorr diya jo tera nahin hai
chala gaya jo mera nahin
yaad hai pehle roze kaha tha
ya to toot ke pyar na karna
ya phir peet pe war na karna
jab nadani ho jati hai
nayi kahani ho jati hai
nayi kahani likh laaun ga
agle roze mein bik jaun ga
tere gul jab khil jayein ge
mujh ko paise mil jayein ge
yaad hai pehle roze kaha tha
bichar gaye to mauj urana
wapas mere pas na ana
jab koi ja kar wapas aye
roye tarpe ya pachtaye
mein phir us ko milta nahin hoon
sath dobara chalta nahin hoon
gum jata hoon, kho jata hoon
mein pathar ka ho jata hoon
yaad hai pehle roze kaha tha
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: