ISLMIC VIDEO
Автор: KIDS WORLD with USAMA
Загружено: 2025-12-07
Просмотров: 165
1. Jumma sab se afzal din hai
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
"Jumma ka din dino ka sardar hai."
"Is din Aadam ko paida kiya gaya, isi din Jannat mein dakhil kiya gaya, aur isi din unhen Jannat se nikala gaya."
— Tirmidhi
2. Jumma ki namaz ko waqt se pehle ja kar ada karna
Nabi ﷺ ne farmaya:
"Jo shaks Jumma ke din ghusl karke sab se pehle masjid jaye, usay ek qurbani dene ke barabar ajr milta hai."
— Bukhari & Muslim
3. Jumma ko durood ziyada bhejno
Nabi ﷺ ne farmaya:
"Jumma ke din mujh par durood ki kasrat kiya karo, kyun ke tumhara durood mujh tak pohnchaya jata hai."
— Abu Dawood
4. Jumma ko ek qabooliyat ki ghadi hoti hai
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
"Jumma ke din ek aisi ghadi hoti hai jisme banda jo dua maangta hai, Allah usay zaroor qubool farmata hai."
— Bukhari & Muslim
(Aksar ulama ke mutabiq yeh ghadi Asr ke baad se Maghrib tak hoti hai.)
5. Jumma ko Surah Al-Kahf padhna
Nabi ﷺ ne farmaya:
"Jo Shaks Jumma ke din Surah Kahf padhta hai, uske liye ek Jumma se dusre Jumma tak Noor chamakta hai."
— Hakim
6. Jumma ke din ghusl karna, safai aur ittar laga kar ana
Nabi ﷺ ne farmaya:
"Jis ne Jumma ke din ghusl kiya, sab se achi tarah safai ki, ittar lagaya, masjid ja kar do logon ke darmiyan fasal na daala, aur jitni namaz likhi gayi woh padhi… Allah uske is Jumma ke aur aane wale Jumma ke darmiyan sab gunahon ko maaf kar deta hai."
— Bukhari
SUBSCRIBES FOR MORE VIDEOS
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: