Ayyam E Fatmiyah Noha 2025-2026 | Baba Meri Pasliyan | Safdar Kaleem | Bibi Fatima New Noha 2025
Автор: Safdar Kaleem
Загружено: 2025-11-03
Просмотров: 14185
Ayyam E Fatima Noha 2025-2026 | Safdar Kaleem | Bibi Fatima Noha 2025 / 1447
Syed Safdar Kaleem Rizvi Presents Ayam E Fatmiyah Shahadat E Bibi Fatima Zahra New Noha 2025 " BIBI ZAHRA S.A NE RO KAR KAHA HAYE BABA MERI PASLIYAN " i.e 13 jamadi ul awal / 3 jamadi ul sani.
KALAM DETAILS |
Poetry | Abbas Naqvi Hur.
Orignally Recited & Special Thanks | NOHA KHWAN RAZA HAIDER RIZVI UK
Audio Production | Teezee Studio
Mixing & Mastering | Tirmah Zaidi
Video Production | The Focus Studio (Syed Safdar Kaleem)
Poster Design | Minhaj Ahmed (Minhaj Graphics)
Manage | MelodyBoosters
Noha Lyrics |
Bibi Zahra (sa) ne ro kar kaha, Haye Baba meri pasliyan,
Aa gaya mera waqt-e-qaza, Haye Baba meri pasliyan.
Tum salaami ko aate the aur aag le kar wo aaye yahan,
Mujh pe darwaza aakar gira, zarb jab ek lagi nagahan,
Munh se bas aik nikli sada, Haye Baba meri pasliyan.
Zalimoon ne wo dhaya sitam, dar tale mujh ko ronda gaya,
Mekh pehlu mein aa kar lagi, kaisa sadma hai waa ghurbata,
Mera Mohsin (as) bhi maara gaya, Haye Baba meri pasliyan.
Apni takleef se barh ke gham hai mujhe to bas is baat ka,
Hain akelay bohot Murtaza (as), rukh yun badla hai haalaat ka,
Kis tarah se kahoon main bhala, Haye Baba meri pasliyan.
Kya sunaoon main darbaar ki, apna haq main jataati rahi,
Mujh ko aisay tamanchay lage, munh Ali (as) se chhupaati rahi,
Poochho Shabbir (as) se wo maajra, Haye Baba meri pasliyan.
Wo sahegi bohot sakhtiyan, hoga Ummul Masaib laqab,
Meri takleef dekhe agar, hoga is se bada kya ghazab,
Main ne Zainab (sa) se chhup kar kaha, Haye Baba meri pasliyan.
Jab talak meri awaaz ho, tum mere paas aana nahi,
Khaana khaa lein na bachay mere, tab talak kuch batana nahi,
Ki hai Fizza (Asma) se ye iltija, Haye Baba meri pasliyan.
Chupke chupke main sahti rahi, kuch khabar unko hone na di,
Aakhri saans mein Baba jaan, mujh ko gham hai to bas aik yahi,
Kaise dekhein ge Sher-e-Khuda (as), Haye Baba meri pasliyan.
Mera nanha sa bacha hai wo, jaanta hi nahi kya hua,
Amma Amma pukara bohot, mera Shabbir (as) rota raha,
Ho gaya maa se apni juda, Haye Baba meri pasliyan.
Rok le Hur (as) tu apna qalam, ab na kar kuch masaib bayan,
Apni Daadi (sa) ke is bain par, ro rahe hain Imam-e-Zamaan (as),
Kehti hain aaj bhi Fatima (sa), Haye Baba meri pasliyan.
After Prophet Muhammad (pbuh) departed from this world, Madina was wrapped in a deep sorrow that could never fade. In the house of Imam Ali (as), Bibi Fatima Zahra (sa) endured the pain of loss and injustice with patience and faith. This heartfelt noha recalls the waqia of her final days, when her loyal servant Bibi Fizza stood beside her till the moment of shahadat. Through emotional latmiya and touching recitation, the grief of Ayyam e Fatima (sa) comes alive once again. The soulful verses of Fatima Yateem Ho Gai and the remembrance of Bagh e Fidak remind every believer of truth and sacrifice. This Ayyam e Fatmiyah noha 2025 expresses deep love for Imam Hassan (as) and Imam Hussain (as), who carried their mother’s sorrow throughout their lives. Every word of this noha revives the legacy of Bibi Fatimah Zehra (sa), reflecting purity, patience, and devotion keeping alive her remembrance through nohay 2025, noha 2026, and Ayyam e Fatima style performances that continue to touch the hearts of azadar e mazloom Maula Imam Hussain (as) across the world.
#AyyamEFatima #BabMeriPasliyan #SafdarKaleem #Noha #BibiFatima #FatimaYateemhogai
#aeyzehrakybaba #mirhasanmir #farhanaliwaris
✨ Connect with Syed Safdar Kaleem:
🔗 YouTube: / @safdarkaleemvideos
🔗 Facebook: / nohakhuwansafdarkaleemfanpage
🔗 TIKTOK: 🔗 / safdarkaleem62
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: