साल 2025 के अंतिम गुरुवार को हो रही माँ कड़े वासिनी शीतला की रात्रि श्रृंगार आरती का Live दर्शन 🙏
Автор: sheetla mata kada dham
Загружено: 2025-12-25
Просмотров: 710
Sheetla Mata Kada Dham , jagat mata aadishakti shiv shakti mata sati ka swaroop sarv mangla jagat kalyani ke naam se jani jane wali mahan maha shakti hai, jiske darshan aur poojan se samast dukh,dard,sankat,kasht,musbibat door ho..ann,dhan,putra,sukh,yash,vaibhav aur keerti ki prapti hoti hai,desh pradesh ke 51 shaktipeethon me se yah ek shiddh shakti peeth hai,kada dham,kade dham,sheetla dham ke naam se es sthaan ko sabhi log jise aaj vishv bhar me janate hai,esi jagah par mata sati ki daye hath ki hatheli v kada gira, use sab aaj vartmaan me kade kund (kade dham kund ki jal har {jalhari}ke naam se jante aur poojte hai, aisa mana jata hai ki jo sheetla mata bhakt kada dham (kade dham)kund ki jal har (jalhar)ko sheetal jal,ganga jal,doodh,fal,phool aur panch meva se bharta hai,uske samast sankat ko door kar har manorath ko paripoorn karti hai mata kade sheetla.saal ke barah mahine yaha door door se har din,laakho shraddhalu mata shitla ke darshan poojan ko aate hai...chaitra ki sheetla ashtami aur aashadh,savan ki saptami aur ashtami par yaha visesh mela shraddhaluo ka lagta hai, yah sthan sheetla mata kada dham mandir india(bharat) ke uttar pradesh rajy me prayagraj ke kareeb kaushaambi jile me padta hai.jiska najdeeki air port bamhrauli prayagraj,railway station sirathu,bus stop saini hai.siddh shakti peeth hone ke karan yaha aur bhi prasiddh sthan ganga nadi,shri kaaleshwar nath mandir, hanuman mandir shiv mandir,durga mata mandir,santoshi mata mandir ,sant malook sthal aur raja jay chand ka kila bhi hai .jaha mata sheetla ke darshan ke bad shraddhalu bhakt darshan ko jate hai,es siddh sheetla mata kada dham shakti peeth me mata sheetla ka 3 samay shringar v 3 samay 3 alag alag aarti roj nish din hoti hai (jinka samay : pratham mangla aarti shringar 5am,dusri dophar bhog shringar aarti 12pm,aur ratri shringar aarti 9pm par hoti hai)aisa mante hai ki jo bhi bhkt sachchi nistha aur shraddha bhav se kade sheetla mata ka kund bharta hai aur mata rani ka aarti poojan darshan karta hai uski man vanchhit manokamna ko ati shigra purn karti hai mata kade ki sheetla.es youtube channle ko banane aur es par video dwara darshan karaane ka mera niswarth uddeshya sirf yahi hai ki es jagat kalyani aadishakti mata kade sheetla ka darshan aur aashirvaad sabhi sheetla mata bhakto ko prapt ho.aisa mana jata hai ki dwapar yug me pandav putra yudhisthir ji ne apne vanvaas ke dauran kada dham me sheetla mata ka darshan kar es mandir ka nirman aur yaha ke shri kaleswar nath mandir ki sthapna apne haton karaya.purvantar me es sthan ko log kuru van(kara kotak)ke naam se jante the,jo aaj ke samay me ek bhavy roop le kar sheetla mata kada dham ke naam se desh pradesh me bhakton dwara jana jata hai.aaj ke samay me sheetla mata kada dham ko bhakt maa kade vasini,kade ki mata,kade ki devi,peepar wali,lal farahra wali,kade kund vasini,kade manik pur ittyadi nomo se pukarte hai,sheetla mata kade dham devi ki mahima aprampaar hai..jo bhi sheetla mata bhakt kada dham sheetla mata ka nit aur nish din ka darshan karna chahta hai wah es sheetla mata kada kada dham yuotube channle ko subscribe kar sheetla mata kada dham shakti peeth ka darshan nisulk es channle par kar sakta hai..agar kisi bhi bhakt ko mata sheetla kada dham ke vishay me kuchh kahna ya puchhna ho to wah es channle par apna camments kar sakta hai ..
mata kade vasini sheetla mata aap sabhi bhakton ka sada kalyan kare.
es channle par visit karne wale sabhi bhakton ko sheetla mata kada dham ka dher sara aashirvad prapt ho.
Jai Mata Di , Jai Shiv Shambhu.
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: