Kitni Bechain Hui Ma Ki Mamta Qasim | Raza Abbas Sultanpuri | Noha Mola Qasim | Muharram 1444/2022
Автор: Raza Sultanpuri Official
Загружено: 2022-08-07
Просмотров: 6905
KITNI BECHAIN HUI MA KI MAMTA QASIM
KHOON KE DOOBA HUA DEKHA JO LASHA QASIM
Title - Kitni Bechain Hui Ma Ki Mamta Qasim
Reciter - Raza Abbas Sultanpuri
Poet - Hadi Barabankvi
Composition - Raza Abbas Sultanpuri
Venue - Imambada Hussainiya Babul Murad
Maniyari Aliganj Sultanpur
Video - Raza Abbas Sultanpuri
Lyrics.....
Kitni bechain hui ma ki Mamta qasim
Khoon me dooba hua dekha jo lasha qasim
1 Dil ke Arman sabhi rah gaye dil ke andar
Tere sehre ki sabhi ladiyan hui khoon me tar
Raas aayi na tumhe shadi rachana qasim
Kitni bechain...
2 Har ghadi soch ke dil phatata hai mera beta
Badnseebi hai meri dekha na sar par sehra
Ab to qismat me hai bas ansu bahana qasim
Kitni bechain..
3 Lamha Lamha jo satati hai teri yaad bahot
Ashqe khoon roz rulati hai teri yaad bahot
Tumko maloom nahi dard hamara qasim
Kitni bechain....
4 kitne Arman se aye laal tujhe pala tha
Tere hi dam se mere ghar me ye ujala tha
Mere jeene ka tha bas tu hi sahara qasim
Kitni bechain...
5 Dil me Arman tha aye laal Teri shadi ka
Dashte purhaul se tum aaye na wapas beta
Dekhti reh gayi madar Tera rasta qasim
Kitni bechain...
6 laash pamal hui dasht me aye laal Teri
Haale dil ma ka zara aan ke pooche koi
Ab to khwabon me hai bas tera hi chehra qasim
Kitni bechain...
7 dastan gham ki bhala kaise sunaye Hadi
Ghamzada ma ka nahi koi sahara baqi
Ab to hothon pe hai bas tera hi nauha qasim
Kitni bechain...
#6muharram #noha7muharram
#newnauha2022 #noha2022 #moharram2022
#nohajanabeqasim #janabeqasimkanoha #nohashahdatqasim #shahadatmaulaqasim #qasimbinhasan #razasultanpuri
Subscribe Raza Sultanpuri official Channel
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: