Shehbaz Sharif Hospital Mein MS Dr. Tanzeel Ka Muaina, Maryam Nawaz Ki Hidayat Par Behtari Jari
Автор: JH NEWS
Загружено: 2025-12-06
Просмотров: 191
Shehbaz Sharif Hospital Multan mein MS Dr. Tanzeel ne hospital ka muaina kiya jahan mukhtalif wards, medical facilities aur CT Scan unit ka jaiza liya gaya. Is mauqe par Ahmed Raza ne briefing dete hue bataya ke CM Punjab Maryam Nawaz ki khas hidayat par hospital mein behtari ka amal musalsal jari hai taake mareezon ko behtar se behtar sahulatain faraham ki ja saken.
Briefing mein yeh bhi bataya gaya ke CT Scan ki jadeed sahulat faraham hone ke baad hospital mein mareezon ki tadaad mein numaya izafa ho raha hai jo behtar medical services ka saboot hai. Intizamia ka kehna tha ke mustaqbil mein mazeed sahulatain barhai ja rahi hain taake awam ko apne shehar mein hi behtareen ilaaj ki sahulat milti rahe.
#ShehbazSharifHospital #DrTanzeel #MaryamNawaz #HospitalInspection #HealthUpdate #CTScanFacility #MultanNews #JHNews
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: