New Noha Shahadat Ali Akbar 2025 | Bole Akbar Apne Baba se Idhar Na Dekhna | Bhanauli Sadat
Автор: Azadari Bhanauli
Загружено: 2025-07-02
Просмотров: 18926
5 Moharram 2024 | New Noha 2024 | Jawan Ali Akbar 2024 | Anjuman Sipah-e-Hussaini - Bhanauli Sadat 2024/1446
Nohay 2025 | Noha Shahadat Ali Akbar 2025 | Bole Akbar Apne Baba se Idhar Na Dekhna | Noha 2025 | Anjuman Sipahe Hussaini Bhanauli Sadat Noha 2025 | Noha Hazrat Ali Akbar Noha 2025 | Nohay 2025 | Muharram Nohay 2025 | Ali Akbar Noha | Shahadat Ali Akbar Noha 2025 | New Nohay 2025
5 Moharram Bhanauli Sadat
Title - Baba Idhar na Dekhna
Poet - Ali Raza Surani
Composition - Late Ali Haider sb
Venue - Chota Imambargah
Occasion | Shahadat Ali Akbar Noha 2025 (1447 Hijri)
Related | Hazrat Ali Akbar Noha 2025 - Muharram Noha 2025
Category | Noha / Nohay 2025 / Muharram Nohay
Noha On the martyrdom of Shahzada Ali Akbar ibne Imam Hussain (as), Many condolences to Prophet Muhammad (saww) and Hazrat Fatima Zahra (sa) and especially to Imam e Zamana (AJF).
Lyrics Noha Baba Idhar na dekhna✍️:
Hua Ye Shor Ke Ghode Se Gir Gaye Akbar
Husain Aaye Hain Maqtal Mein Ghutniyon Chal Kar
Sar Apne Laal Ka Zaanu Pe Shah Ne Rakkha
Zaeef Baap Ye Kadyal Jawan Se Bola
Rakha Hai Hath Kaleje Pe Kyun Mere Beta
Hata Le Hath Ke Ab Phat Raha Hai Dil Mera
Hata Ke Hathon Ko Kehne Laga Pisar Baba
Jo Ho Sake Ga To Na Dekhna Idhar Baba
Bole Akbar Apne Baba Se Idhar Na Dekhna
Aye Mere Baba Mera Zakhmi Jigar Na Dekhna
1.
Baap Ki Khatir Bada Hi Sakht Hai Bete Ka Gham
Naujawan Hoon Jis Ghadi Baba Mera Nikle Ga Dam
Mera Chehra Us Ghadi Mere Pedar Na Dekhna
2.
Door Hat Jana Mere Seene Se Barchi Khinch Kar
Khoon Niklega Uchhal Kar Mere Seene Se Agar
Dil To Tadpega Bahut Baba Magar Na Dekhna
3.
Rok Kar Akbar Ko Sarwar Ne Kaha Mere Hilal
Imtihan-E-Sabr Hai Ye Baap Ka Aye Mere Laal
Ab Mujhe Kuchh Der Aye Mere Pisar Na Dekhna
4.
Aasteen Apni Chadha Kar Jab Main Khinchunga Seena
Waasta Tujhko Tere Baba Ka Aye Kadyal Jawan
Meri Janib Aye Mere Noor-E-Nazar Na Dekhna
5.
Phir Kiya Khaime Ka Rukh Akbar Ne Roker Ye Kaha
Doobta Hai Karbala Mein Chaand Aye Amman Tera
Chaand Ki Janib Kabhi Ab Umr Bhar Na Dekhna
6.
Hichkiyaan Jab Maut Ki Aayi To Bola Naujawan
Aap Par Qurbaan Ho Akbar Aye Mere Baba Jaan
Ghod Ke Paale Ka Ye Mushkil Safar Na Dekhna
7.
Aye Surani Ro Pada Dil Maine Jis Dam Ye Likha
Aakhri Saanson Mein Di Sughra Ko Akbar Ne Sada
Ab Mera Rasta Bahen Shaam-O-Sehar Na Dekhna
►Social Media:-
Subscribe : / azadaribhanauli
Want to chat? Hit me up on social media!
Instagram: / iamrizvi
Facebook: / bhanaulisadat
Hashtag:-
#newnoha2024 #azadaribhanauli #noha #anjumansipahehussainibhanaulisadat
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: