Mir Taqi Mir Ghazal - Hasti Apni [Deewan-E-Mir Taqi Mir] S01.EP01
Автор: Banana Poetry
Загружено: 2017-11-03
Просмотров: 77863
Mir Taqi Mir Ghazal
Hasti Apni [Deewan-E-Mir Taqi Mir] S01.EP01
Recited By - Mehran Amrohi
Hasti Apni Habab Ki Si Hai
Ye Numaish Sarab Ki Si Hai
Nazuki Us Ke Lab Ki Kya Kahiye
Pankhudi Ek Gulab Ki Si Hai
Bar Bar Us Ke Dar Pe Jaata Hun
Haalat Ab Iztirab Ki Si Hai
Main Jo Bola Kaha Ki Ye Aawaz
Usi Khana-Kharab Ki Si Hai
Aatish-e-gham Mein Dil Bhuna Shayad
Der Se Bu Kabab Ki Si Hai
Dekhiye Abr Ki Tarah Ab Ke
Meri Chashm-e-pur-ab Ki Si Hai
'Mir' Un Nim-baz Aankhon Mein
Sari Masti Sharab Ki Si Hai
Before Dawn by Audionautix is licensed under a Creative Commons Attribution licence (https://creativecommons.org/licenses/...)
Artist: http://audionautix.com/
Prelude No. 14 by Chris Zabriskie is licensed under a Creative Commons Attribution licence (https://creativecommons.org/licenses/...)
Source: http://chriszabriskie.com/preludes/
Artist: http://chriszabriskie.com/
/ bananapoetry
/ bananapoetry
/ banana_poetry
/ bananapoetry
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео mp4
-
Информация по загрузке: